Main un cheezon ki smuggling karta hoon, jinki ijaazat sarkar nahi deti … un cheezon ki nahi, jinki ijaazat zameer nahi deta
Dua mein yaad rakhna
Hamari tasveerein kheench ke apni dukaan mein laga lena … kabhi zaroorat padhe, toh dono mein se ek bhagwan chun lena
Jinki manzil ek hoti hai … woh raaston par hi toh milte hai
Jab dost banake kaam ho sakta hai … toh phir dushman kyun banaye?
Joh apni maa ki izzat nahi karte … main unka baap bankar aata hoon
Jin ungliyon ko ghode ki aadat lag jaaye … un mein lagaam daalna mushkil ho jaata hai
Sooch lo, baat khatam karni hai … ya kahani shuru
Himmat batai nahi … dikhai jaati hai
Kashti leharon se takrayegi … toh hi kinaare naseeb honge
Main apne kaam karne ka tareeka badal raha hoon … tevar nahi
Joh apne beete huye kal se bhaagta hai … woh zindagi ki race kabhi nahi jeetta
Waqt bhi kahan badalta hai … sirf guzarta hai
Aadmi halaat bighadane ke liye burre kaam nahi karta … halaat sudhaarne ke liye karta hai
Aankhen khuli rakhon toh aansoon bhi kaale … aur bandh karoon toh sapne bhi kaale